Pages

Monday, May 9, 2011

Aashiyana

Raato ki tanhaiya,
Kal ki parchaiya,
Bulati hain mujhko,
Mere aangan ki chaardiwariyan

Maa ka wo pyar
Wo bhai se mithi si takrar
Yaad aata hain
Wo sapno sa sansar

Dil ki khamoshi
Nigaho ki nami
Ehasas dilata hai
Ek dilbar ki kami

Sapne sanjona,
Un sapno ko pana
Dil chahta hai
Thoda apna bi ho aasma

Raato ko yun raho par nikalna,
Tanha akele yun hi bhatkna
Kisi kami ka ehsas hai ye
Raat bhar mera yun hi jagna

Na rehna hai ab yun tadap ke
Jina hai jindagi k har ek pal me
Bas itni si hai ab baat
Rangna hai mujhe ab apne khwabo k rang se

Khul kar jina aur hai muskurana
Ab na beete palo me hai khud ko bhulana
Chunna hai parvat ki unchai ko ab banana hai

EK Aashiyana................................................

2 comments:

Anonymous said...

really good

Anonymous said...

Cha gaye guru