Pages

Tuesday, May 10, 2011

Ye GAM kya tujh se chhut jaayenge

Ab ye hoga shaayad apni aag me Khud jal jaayenge,
Tum se dur bahut rah kar bhi kya paya kya payenge.
Dukh bhi sachche, Sukh bhi sachche phir bhi teri chaahat me,
Hum ne kitne dhoke khaaye, kitne dhoke khaayenge.
Akal pe hum ko naaz bahut tha, lekin ye kab socha tha,
Ishq ke haathon ye bhi hoga log hume samajhayenge.
kal ke dukh bhi kaun se baaki aaj ke dukh bhi kai din ke,
Jaise din pahle kate the ye din bhi kat jaayenge.
Hum se jab tanhaa ghabarayenge sahra me,
Raaste sab tere hi ghar ki dahlij ki aur mud jayenge.
Aankhon se ojhal hona kya dil se ojhal hona hai,
Mujh se chhut kar bhi ye GAM kya tujh se chhut jaayenge..........

1 comment:

Anonymous said...

is gam ne sabko mara. man gaye guru